0-9 A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z


navigation
news news
top50 top 50


» home » Lata Mangeshkar » Shirin Farhaad » Guzra Hua Zamana, Aata Nahin Dubara lyrics
Artist: Lata Mangeshkar
Album: Shirin Farhaad (0000)
Title: Guzra Hua Zamana, Aata Nahin Dubara

Lyrics Guzra Hua Zamana, Aata Nahin Dubara

Guzra Hua Zamana, Aata Nahin Dubara
Hafiz Khuda Tumhara

Khushiyaan Thi Chaar Din Ki Aansoo Hain Umr Bhar Ke
Tanhaiyon Mein Aqsar Royenge Yaad Kar Ke
Vo Waqt Jo Ki Hamne Ik Saath Hai Guzaara
Hafiz Khuda Tumhara...

Meri Qasam Hai Mujhko Tum Bewafa Na Kehna
Majboor Thi Mohabbat Sab Kuchh Pada Hai Sehna
Toota Hai Zindagi Ka Ab Aakhri Sahara
Hafiz Khuda Tumhara...

Mere Liye Sehar Bhi Aayi Hai Raat Ban Kar
Nikla Mera Janaza Meri Baraat Ban Kar
Achha Hua Jo Tumne Dekha Na Ye Nazaara
Hafiz Khuda Tumhara...


artist
song
album